Social media par us waqt aik naya buraan khara ho gaya jab Mishi Khan ne Iffat Omar ko un ke halia fashion show ramp walk par khulay aam tanqeed ka nishana banaya. Mishi Khan ka kehna hai ke muqaddas kalaam ki aik apni izzat hoti hai jisay aap fashion show mein is tarah use nahi kar sakty. Iffat Omar ke is naat par thumkay lagane aur dance karne se bohot se sarfeen ke jazbaat ko sakht thes pohanchi hai.
show ke dauran jab mashhoor naat "Yeh Sab Tumhara Karam Hai Aaka" chali toh Iffat Omar us par jhoomte hue dance karne lagin. Is muqaddas kalaam par unho ne baqaida thumkay lagaye aur catwalk ke dauran jhoom kar pose diye. Mishi Khan ne video bayaan mein kaha ke kalaam ki hurmat sab se pehle aati hai aur is par dance hargiz qabil-e-qabool nahi. Aap aam gano aur muqaddas naat ke darmiyan ka farq is tarah khatam nahi kar sakte.
Public Reaction
Social media platforms jaise Instagram aur Twitter par ab yeh video Tezi se viral ho rahi hai jahan log sakht gussay mein hain. Users Mishi Khan ke is bayaan ki bharpoor himayat kar rahe hain aur Iffat Omar ko un ki is harkat par buri tarah troll kiya ja raha hai. Bohton ka kehna hai ke entertainment industry ko ab apni hudood tay karni hongi taake muqaddas cheezon ka mazaq na bane.
Muqaddas kalaam ki hurmat aur fashion ke darmiyan aik wazeh boundary hamesha barkarar rehni chahiye. Kya aap Mishi Khan ke is bayaan se mukammal tor par ittefaq karte hain? Kya Iffat Omar ka naat par is tarah jhoomna aur dance karna theek tha? Comment section mein apni raye zaroor batayein.
Image Source & Credit: Instagram / Social media for illustration purposes only.




No comments:
Post a Comment