Hadi and Mahnoor Wedding Twist Takes Center Stage in Rutba Episode 2 Review
ARY Digital ke naye drama Rutba ka Episode 2 aik naya aur hairat angez morr le aya hai jis ne har fan ko heraan kar diya. Pehle lag raha tha ke Hiba Bukhari (Mahnoor) aur Talha Chahour (Hadi) ke beech barhta hua lifestyle ka faasla is rishtay ko tor dy ga. Lekin is episode mein kahani ne achanak tez rukh ikhtiyar kiya aur dono ki shadi finally ho gayi hai. Fans is jaldi shadi ke twist ko dekh kar kaafi excited nazar aa rahe hain.
Simple Living to Beautiful Wedding: The Massive Plot Shift
Hadi ke ghar wale shuru se hi sachai samne rakhna chahte thy taake larki wale unka ghareebana lifestyle pehle hi dekh lein. Mahnoor ke parents jab Hadi ke ghar pahuche to unhein wahan ka rahan sahan dekh kar kaafi jhatka laga. Wahan gas tak nahi thi aur lakriyon par khana banaya ja raha tha.
Mahnoor ki maa is rishtay ke khilaf thi lekin uske professor baap ne faisla beti par chor diya. Mahnoor ne sacha pyar chuna aur phir hum ne dono ki aik khoobsurat shadi dekhi. Inki shadi shuda zindagi ka aghaaz bohot hi pyare aur khushgawar andaz mein dikhaya gaya hai.
Masterful Direction and Heartwarming Chemistry Sparks Viral Fan Reactions
Director Haseeb Hasan ne is puray shaadi ke sequence ko bohot hi khoobsurat aur real andaz mein shoot kiya hai. Hadi aur Mahnoor ki shadi ke joray aur unke chehre ke expressions ne scene mein jaan daal di. Twitter aur Instagram par fans inki onscreen chemistry ki tareefain kar rahe hain. Log keh rahe hain ke aam tor par dramo mein shadi bohot dair se hoti hai lekin yahan director ne pehle hi bara surprise de diya hai.
Rutba ke is naye episode ne kahani ko aik bohot hi khushgawar aur naye rukh par khara kar diya hai. Ab dekhna yeh hai ke kya Mahnoor is saday lifestyle mein hamesha khush reh paye gi ya aage koi naya tufan anay wala hai? Aap ko Hadi aur Mahnoor ki shadi ka yeh achanak twist kaisa laga?
Image Source & Credit: ARY Digital / Social media for illustration purposes only.





No comments:
Post a Comment